Hindi Movies Dialogues in English

Hum jaise tanha logon ka ab rona
kya muskana kya, jab chahne wala koi
na ho to jeena kya mar jana kya
sarhad paar ek aisa shaqs hai jo
apke liye apni jaan bhi de sakta hai.


Zindagi aur maut oopar wale ke
haath hai jahpanah ise naa to aap
badal sakte hain na main, hum to rangmanch
ki kathputliyan hain jinki dor oopar
wale ke haath mein hai,kaun,kab
kaise uthega ye koi nahin jaanta ha ha ha.

Pyar ek khoobsurat ehsaas hai jo hamari
zindagi mein ek hawa ke jhonke ki
tarah aata hai aur hamari zindagi ka
rom rom uski khushboo se mahek uthta hai.

kabhi hum ek dusre ko kho kar bhi to pyaar
ko uncha darja dete hai,juda rehkar pyaar
ki unchai ko prapt karte hai,aur pyaar mila
to bhi judai bhi to ek pyaar hai.

Sar Zameen eh Hindustan As
Salaam Walikum Maray Naam Badsha
Khan hai Ishq Mayrah Mazhab Mohabbat.

No comments :

Post a Comment